Wednesday, November 18, 2009

JAY MARAATTHA BHAGYA VIDHATA

Jai Maratha bhagya vidhata. Bal Thakrey-Raj Thakrey-Udhav Thakrey tera udgata. Apun jabarjast khushi hui ke apun ka Bal Mamu Sachin ka waat lagaela hai. Raj Bhaiii SBI ko dhamkaela hai. Udhav bhai bhi locha kiela hai. Apun bolti- Mumbai amchi nahin hone sakti-wo to Thakrey & company ke baap ki hai. Jab uska baap Maharashtra ki registry apna naam karwaela tha to apun uski gawahi dieli thi, kuch bolne ka kya? Nahin bolne ka, to khali pili bom kahe ku marela hai baap ? Maratha marta nahin maarta hai- yeh Nana bolela hai aur Mamu sunela hai. Itihas mein padhha nahin Shivaji kitnon ka game bajaya dhoka se. Jab Jhansi ki Rani Nana aur Peshwa se madad mangne pahuncheli thi, tab sara maratha sharab, kabab aur shabab ke saath mardangi dikhaela tha. Veer Savarkar apna jaan bachane ka vaste firangi se maafi mangela tha bahaduri ke saath. Apun bindas hai pann yeh sab befaltu baat apun nahin bolti. Apun to khali suneli hai. Bhankas saala ! Koi apun ko bola ke Mumbai pahale ek chhota sa gaon bole to village hone ka- MUMBA. Bahar gaon se Parsi, Muslim, Punjabi, Bengali, UP iyaites aane ka aur film industry banane ka. Aaj ka Mumbai wohich Mumba gaaon hone ka. Maratha bhai log apna pasina aur doosra ka khoon baha ke isko Greater banane ka- aur Haji Mastan, Daud Ibraham, Chhota Shakil jaisa mafia ke aage ghutna tekne ka.

1993 aur 2008 mein jab Mumbai par aatanki hamala hone ka to Thakrey company apna aaiii ke aanchal mein chhup jane ka aur 6 mahina baad nikalke eda maafik hawa dene ka. Us wakhat Mamu kaheku nahin bola ke Maharashta khali Maratthion ka hone ka aur khali Marattha police ich Aantanki se panga lene ka. Aare Mamu kahe ku locha kieyela hai ? Mumbai na aapka, na apun ke baap ka, Mumbai to sab ka hone ka, Samjha tum ? Nahin samjha to public tumko samjha dene ka. Yeh jo public hai sab janti hai re baap.












No comments:

Post a Comment